ek zalim zamana hai
duji teri aadaye hai
aur hum zulm ke mare
kuch to zamane ne ruswa kiya
kuch teri adawo ne
ek ansoo tadap kar jo
rukhsar ko chu nikla
ai harjayi tu sun le
us ashk ki qeemat bhi
tumko hi chukani hai
ek lamha ban gaya hai
wo arsa jo bitaya tha
tumhare sang muhabbat me
us lamhe ka ehsas
mujhe raat bhar jagata hai
ek jeewan hai mere pas
par tumhare pyar ki aas
banagayi hai mujhe udas
mushkil hogaya hai jeena
kya pata kab ruk jaye meri sans
4 comments:
nanhi pari khoob likhati hai
ji bahut bahut shukriya
bahut accha likhti ho yar..kya age jake kaviyetri banegi..
abhi kya hum kaviyetri nahi hai?
hahaha..
thanks preeti
Post a Comment