----------welcome----------

welcome to "Life is a gift".
This blog is all about romantic poems,drawings , henna designs..
keep visiting.. there is more to come soon

ishqia

Saturday, July 5, 2008

sharam ayi


sharam ayi hume is shiddat se
ke hum nazre jhuka baithe
jab wo hame dekhne ke khatir
hamara chilman utha baithe

jhuki nazre larazte lab
dhadakta dil aur muhabbat
wo hum ko dekhkar haiii..
apna dil ghuma baithe

hasee sathi suhani sham
aur dilau me muhabbat
hum ek dusre se kar
wadaa-e-wafa baithe

bhul apni sharam-o-haya
hum qareeb aa baithe
us hasee raat ko hum
yaadgaar bana baithe

Thursday, July 3, 2008

MUJHE CHAHA HAI TU NE


mujhe chaha hai tune is shiddat se
meri har khwaish ka khayal rakha
mujhe sar ankhau pe bitha kar
meri har khushiyau ko sambhal rakha
mere dil ko apne dil se jod kar
mujhe apne dil ke qareeb rakha
mujhe apni agosh me chupa kar
mujhe khud se zyada azeez rakha
teri is wafa ka shukriya
teri har chah ka shukriya
tere pyar ke is ehsaas ka
aur is khubsurat saath ka shukriya

Tuesday, July 1, 2008

MEMORIES

Sometimes certain things become a part of our memories , precious memories.. and we preserve them for life time. This rose was sent to me many many years back by a sweet sweet cousin. i had hanged in on my bedroom wall. over the years the color has become dull. so i thought i will stick it now on my blog wall. Thanks to my cousin for that beautiful rose.

Saturday, June 28, 2008

mere armaa.........


hum armanau ki duniya me rehte hai
roz naye armaa sajate hai
ek armaa jab pura ho
do naye armaa ajate hai

zindagi khatam ho jayegi
par arma khatam na honge
har subha ek naya armaa jagega
har sham ek naya khwab sajega

mere armaa bhi hazarau hai
meri chahate bhi hai kai
mere khwabau ki to intiha nahi
par zindagi meri hai choti si

Wednesday, June 25, 2008

my designs

I dont usually draw indian designs,but made a vague attempt this time.


Sunday, June 22, 2008

DOHA - ON A WINDY DAY









I clicked them all including the header pic.

Saturday, June 21, 2008

ji chahta hai


tumhari bahau me sar chupane ko ji chahta hai
tere paas ane ko ji chahta hai
labau pe tabassum nigahau me chahat
teri surat ko dil me basane ko ji chahta hai
duri sitam hai aur tu hai sitamgar
ye duri mitane ko ji chahta hai
muhabbat me tere ajab meri halat
ke aansu bahane ko ji chahta hai