----------welcome----------

welcome to "Life is a gift".
This blog is all about romantic poems,drawings , henna designs..
keep visiting.. there is more to come soon

ishqia

Saturday, May 31, 2008

dil me jaga dijiye ga


sanam mere humdam wafa kijiyega
muhabbat hum se sada kijiyega
guzarish tum se hai bas itnisi
sada ke liye dil me jaga dijiyega

kabhi meri ulfat ke jalwe to dekho
sharam se lipte hue is putle ko dekho
muhabbat bhari ek nazar se to dekho
ek bar hi sahi dil me apne bitha ke to dekho

wada hai mera tumhe khush rakhungi
dil-o-jan sab kuch nisar kar dungi
shab me tumhe ulfat ke jam dungi
din bhar tumhari khidmat karungi

ek bar hame azma ke to dekho
hamari qurbat ke nashe me chur ho ke to dekho
sang muhabbat ke rahat milegi
mere sang khushiyo ki lazzat milegi

nasha hi nasha hai


charau taraf nasha hi nasha hai

lagta hai har taraf tu hi tu khada hai

muhabbat me teri hum khogaye hai

dur najane tum se hum kyu ho gaye hai

Thursday, May 29, 2008

ek zalim zamana


ek zalim zamana hai
duji teri aadaye hai
aur hum zulm ke mare
kuch to zamane ne ruswa kiya
kuch teri adawo ne

ek ansoo tadap kar jo
rukhsar ko chu nikla
ai harjayi tu sun le
us ashk ki qeemat bhi
tumko hi chukani hai

ek lamha ban gaya hai
wo arsa jo bitaya tha
tumhare sang muhabbat me
us lamhe ka ehsas
mujhe raat bhar jagata hai

ek jeewan hai mere pas
par tumhare pyar ki aas
banagayi hai mujhe udas
mushkil hogaya hai jeena
kya pata kab ruk jaye meri sans

kash zindagi me udasi na hoti


kash zindagi me udaasi na hoti

ansoo na hote aur gham na hota

koi bhi khwahish adhoori na hoti

umeede hamari sab puri hoti

na tutte dil kanch ki tarah

na doobti khwahishe aftab ki tarah

par har din ke liye raat hoti hai

har ansoo ke liye muskurahat hoti hai

har dulhan ke liye baaraat hoti hai

ek din puri zaroor saughat hoti hai

to dostou e baat yaad rakhna

umeed ko apni sadha baandh rakhna

Wednesday, May 28, 2008

check these out

here are another set of cute mehndi designs which i recieved in mail ..
have fun!!!











very very beautiful

hey friends!

here are some very beautiful henna designs which i recieved in mail.
hope u like them!!








yaad rakna


zindagi ki is choti si mulaqat ko yaad rakhna
bhul jana hame phir bhi yaad rakhna

sang saathi yaari na sahi
ek ajnabee ki tarah yaad rakhna

haqeeqat na sahi
sapnau ki tarah yaad rakhna

kabhi zindagi ki bhid me
bhul kar bhi hame yaad rakhna

padhaii, tum aur durii


jab se tum aaye ho zindagi me
mushkil mujhe hoti hai padhaii me
har panne par tum nazar aate ho
aur mujhe sapnau ki duniya me le jate ho

jab teacher aapna lecture sunati hai
mujhe lagta hai lori ga ke sulati hai
mere liye muhabbat ke geet gaati hai
hosh aata hai jab wo class se jaati hai

har din ek naya azm leti hu
aur padhai ka pakka irada karti hu
lekin jab kitab kholti hu
phir se tum me kho jaati hu

ab tum hi batawo ke kya kiya jaye
dur rehkar tumse padhai ka hashr kiya jaye
pass hone ke bajaye hum kahi fail na ho jaye
ya phir yuhi duri ka gham piya jaye

behtar hai hum paas rehkar pass ho jaye
kash ke yaarab ye mumkin ho jaye
ye duri mitjaye paas hum aajaye
is andheri raat ke baad jald sawera hojaye

halat teri hamwar hai

zindagi bezar haid
ur mera dildar hai
tum bin jeena bekar hai
mushkil intizar hai
jeena mera dushwar hai
dil me mere takraar hai
tere liye singhar hai
halat meri had par hai
mai janti hu e sanam
halat teri hamwar hai

Tuesday, May 27, 2008

iqraar


ha iqraar karti hu
ke tum se pyar karti hu
intiha itni hai
ke har sapne me tera deedar karti hu

tum zindagi ki zaroorat ho meri

tum zindagi ki zaroorat ho meri
aabroo ho meri aur izzat ho meri

khubsurati teri you jhalakne lagi hai
tumhare liye jaa tadapne lagi hai

aarzoo ho meri tum tamanna ho meri
sada sang raho tum ye khwahish hai meri

muhabbat ko meri tum abad rakhna
meri jaa mujhe tum sadaa yaad rakhna

ye duri samajh lo hai chand lamhe
muskura ke ise ek sapna samajhna

Monday, May 26, 2008

ashiqi ka mosam


ashiqi ka mosam shuru hogaya hai
pyar ki hawa chalne lagi hai

chane lage is dil pe ulfat ke baadal
barasne lagi hai mujh pe tere pyar ki boondein

hallki boondau me bheeg jawoo
tere pyar se aapni pyas bujhawoo

apne banjar dil me muhabbat ke phul khilawoo
aur uski khushbu se pure jism ko mehkawoo

is dil ki deewar pe teri tasweer utaru
aur subha sham teri muhabbat me geet gawoo

chahu tujhe itna ke sab bhul jawoo
raat ko jaagu aur din me sojawoo

is mosam ke siwa kisi mosam ka khayal nahi
teri siwa ab koi bhi yaad nahi

pyar ata hai

jab tum haq jatate ho
tab bhi pyar ata hai

jab tum muskurate ho
tab bhi pyar ata hai

ji karta hai teri har baat maan lu
palkau ko bandh karke
tujhe ankhau me chupalu

tumhare pyar karne par
aur bhi pyar aata hai

mai kya kahu
har pal pyar ata hai
ji bhar pyar ata hai
tum par pyar ata hai

barsaat


barsaat ka e mosam kuch yaad dilata hai
garam garam pakodou ki aas dilata hai
saath me coffee ki pyas dilata hai
kash tum paas hote e ehsaas jagata hai

Sunday, May 25, 2008

dil khol kar taarif kardo

duniya qail hai hamari shayari ki
ek tum hi ho jise qadar nahi
jis ki muhabbat me kho kar likhte hai
use hi hamare hunar ka ilm nahi

chalo kabhi to maan lo
ke hum me bhi dam hai
tum jo taarif karte ho
wo zarasi kam hai

kabhi to samjho
meri chupi khwahishau ko
ek baar hi sahi
dil khol kar taarif kardo

mera deewana hi qail ho

hazarau ki duniya qayil hai
koi hamara bhi qayil ho

chalo duniya na sahi
mera deewana hi qayil ho

Saturday, May 24, 2008

cruize


pretty


muhabbat ho gayi hai


teri har ek chiz se muhabbat ho gayi hai
teri tasveer se muhabbat ho gayi hai
tum se judi meri taqdeer se muhabbat ho gayi hai
jaa mere mai kya kahu teri har ek ada se muhabbat ho gayi hai
tum bin jeena ab ho gaya hai mushkil
kyu ke tumhari qurbat se muhabbat ho gayi hai
likh diya hai mai ne mere dil pe tera naam
maan lo tere naam se muhabbat ho gayi hai

dedicated to my husband


Every morning when u wake up
i wanna make u feel
that i love u

every night when u go to sleep
i wanna make u feel
that i love u

when the sun is shining bright
when the moon kisses me good night
i wanna make u feel
that i love u

with every kiss that i give u
i always mean
that i love u

for every breath that u take
i wanna make u feel
that i love u

for every beat of my heart
i truly mean
that i love u

oh my dear
u r my darling
my sweet heart

u r the only one who was meant to be
my true love and u r my only destiny

for every moment that passes by
i wanna make u feel
that i love u

dheere dheere

agaz kijiye ga dheere dheere
baat kijiye ga dheere dheere
saath mile ga umr bhar ka
shuruwat kijiye ga dheere dheere

happy new year


i wrote this for new year

jashn ho khub masti ho
kash is saal mehngi cheeze sasti ho
bahut saare naye resolution ho
pure saare ambition ho

yaarau ke sang yaari ho
achchi qismat hamari ho

khub paise udayenge
shopping se dil behlayenge

khub hasenge aur muskurayenge
shayad kuch achcha kaam bhi kar jayenge

khub khayenge aur piyenge
mote hone par dieting karenge

jab beemar honge to doctor se katrayenge
pichle saal ki tarahye saal bhi guzarenge

uski muskurahat


jab wo muskurata hai
ji karta hai ke mai baithu
aur dekhti jawoo
ouske labau ke mod ko
aur choom lu uski lali ko
aur kho jawoo uski chamakti hui ankhau me
diwani hu mai uski muskurahat ki
ji karta hai ke chulu
mai uske hontau ko
apne hontau se
aur basa lu apni ankhau me
uski muskurahat ko

mulaqat hi gayi


ek choti si mulaqat ho gayi
tum se thodi si baat ho gayi
phir se tum dur chale gaye
intizar ki ghadi phir se agayi

teri mulaqat ko yaad karte hai
isi tarah raat se din aur din se raat karte hai
muskura ke apne gamau ko chupa dete hai
jald mulaqat ho dubara har pal dua karte hai

ye kuch din jo saath bitaye hai
hum in me kho kar din bitate hai
ye kuch mahine jald guzar jaye
isi aas me khwab sajate hai

eid chali gayi aur legayi mere sajan ko
de gayi mujh ko gam aur lagayi meri khushiyo ko
shukr karte hai khuda ka ke mulaqat ho gayi
kuch din ke liye hi sahi khushiyo ki barsaat ho gayi

milungi mai mere saajan se


chandraat aa rahi hai
mere hontau pe tabassum sajarahi hai
milungi mai mere sajan se
ye eid mujhe ye naghma suna rahi hai

badi muddat ka baat mere sabr ka innam aya
mujh se milne ko mera sajan hai aya
mere charau aur muhabbat ka samaa hai chaya
wo ara ha hai jis ne mere dil ko hai churaya

muhabbat ka jis ne mujhe ehsaas dilaya
ishqia ko jis ne ishq ka jaam pilaya
gamau ko mere us ne hai bhulaya
sajan mera mujhse milne ko hai aya

ghadiya khushi ki hai aaj ayi
chandni har su hai chayi
dil me mere muhabbat ne li hai angdai
eid sab ke liye khushiya hai layi

mere mehboob ke baare me

kya kahu mere mehboob ke bare me
wo hai sab se juda aur sab se alag

mujhe lagta hai wo sab se hasee
aur sab se khubsurat

mujhe us se chahat hai
kyou ke use mujh se muhabbat hai

us ki har ek ada pe hai mera dil fida
uski muskurat bhi hai jan leva

uski har ek khushi me hai meri khushi
wo mere liye hai bahut qeemti

uski yaad hai mere hontau ki muskan
taskeen-e-rooh hai wo mera dil-o-jan

dastak


ek raat achanak dil pe dastak hui thi
mai ne kaha kis ko itni jurrat hui thi
jawab aya badi dil nashee awaz mai
mai hu tumhari sham wo sehar
tumhari zindagi ka humsafar
tum hi mere dil ki kali ho
chahe manzil kaun si gali ho
aur yaqeenan wo tha mera muqaddar
meri zindagi ka humsafar
shamil thi wafa us ki har ek ada
aur wahi tha mera manzur-e-nazar

tum mera saath dogi


har ek mushkil meri asaan hogi
jab har qadam tum mera saath dogi
asmaa pe bikhri hui chandni tum
nazuk aur komal si afree tum
meri mohabbat ho dil nashee tum
sila-e-ibadat ho meri tum

khwahishe hazar hai


ji chahta hai ke mai bahut naraaz hu aur tum mujhe manao
ji chahta hai ke tum mere nakhre uthawo
dil me mere muhabbat ka ehsaas jagawo
kanao me mere chahat ke alfaz gungunao

haqeeqat ko bhula kar mujhe sapnau ki duniya me le jawo
chaho mujhe itna ke sari duniya ko bhulawo
mujhe apni muhabbat ke samandar me utaro
doob jawoo mai teri chahat ke samandar me
is samandar ko itna gehra banado..

dil bahut udaas hai


jaa mere e dil bahut udaas hai

pani qareeb hai, phir bhi ajab si pyaas hai

bahut baar mil chuki, phir bhi tujh se milne ki aas hai

tum kehte ho meri shayari bakwas hai

kehta hai mujhe paagal wo jo mera khaas hai

aansu mere behte hai kyuo ke dil mera hussas hai

samajh na pawoge mujh ko e mera ehsaas hai

jaa mere e dil bahut udaas hai

henna


mehndi design


pencil drawing




Friday, May 23, 2008

yehi haal hai meri ashiqi ka

muhabbat naam hai zindagi ka...
ibadat naam hai bandagi ka
wafa inaam hai meri dillagi ka
kuch haal dekho meri deewanagi ka
yehi sila hai meri awaragi ka
ke mazaq ban gaya hai meri sadagi ka
dil pe raaj hai us naznee ka
zamana qail hai jis ki dilkashi ka
ab aur kya kahu..yehi haal hai meri ashiqi ka..

tujh se ye kehne ke liye beqaraar tha

jab se laga tha chedne mujhe
dil ki chidya meri lagi thi chehchane

sham wo sehar har pal intizaar tha
tujh se e kehne ke liye dil beqaraar tha

"kamine kutte teri maa bhain nahi hai kya"

kab ayega sawera


tanhai bhi ehsaas dilati thi
teri muhabbat ka
mehfil me bhi ehsaas hota tha
teri chahat ka

ishq me tere mai thi
par intizaar tha izhaar ka
izraar to mai bhi karlu
par khauf tha tere inkaar ka

chahat kis pal ho gayi
ye pata hi na chala
jab pata chala
to tum chale gaye

dil ne kaha ke rok lo
muhabbat ke waaste
par tum afsos chale gaye kehke
ke sada rehna meri behna banke

muhabbat dhari ki dhari rehgayi
izhaar ki tamanna dil me hi reh gayi
charou taraf andherau ne kar liya basera
najane ab zindagi me kab ayega sawera

mila de mujh ko mere sanam se


jaise koi bachcha apne khilaune ke liye rota hai
mai apni muhabbat ke liye ro rahi hu
samne tere e khuda
mai apni chahat ke liye ro rahi hu

karu me sajda khuda e tere
dua karu mai tujhi se yaarab
mila de mujh ko mere sanam se
khuda e mere tu kar de rehmat

qabool kar tu ibadatau ko
ata kar meri duawo ko
mila de mujh ko mere sanam se
yehi dua hai khuda tujh se

mujhe ye yarab sabar ata kar
kushada mujh ko qabar ata kar
inayate to hazar ki hai
ye ek inayat tu aur karde
milade mujh ko mere sanam se
yehi dua hai khuda tujh se

jaan mushkil me phansi hai
khuda ye kaisi bebasi hai
tu janta hai sabhi ke dil ko
khuda tu mujh ko sabar ata kar
qareeb mere humsafar ata kar

meri muhabbat , naseeb hai wo
shohar mere dil ke qarib hai wo
meri wo manzil mera wo sahil
imaan mujh ko hai tujh pe kaamil
khuda e mere qabool kar de
mila de mujh ko mere sanam se
tadap ko meri tu dur karde

inayat khuda ki


muhabbat hum karenge

khwaish wafa ki hai

dua hum karenge

khwahish ata ki hai

koshish hum karenge

inayat khuda ki hai

dil ki baat


zindagi me meri teri amad se khushi ayi hai

mai shayar to na thi par shayari mujhe ayi hai

apne dil ki halat ko lafzau me utaarti hu

shayari ke zariye apne dil baat keh dalti hu

na janu mai na jane tu


ek qatra aansu ka aakar ruk gaya hai ankhau me
beh kyou nahi jata na janu main na jane tu

tadap hai dil me milne ki aur khud ko bhul jane ki
milan ye kyou nahi hota na janu main na jane tu

kati hai raat mushkil se, mai karwat rok nahi sakti
neend kyou mujh se roothi hai na janu main na jane tu

ye ulfat chiz kya hai zamana samajh nahi sakta
tujh se kyou ye chahat hai na janu mai na jane tu

haqeeqat ashna hai par pyare khwab lagte hai
kyou sapnau me ate ho na janu mai na jane tu

adhoori zindagani hai adhoori ye kahani hai
jiuu kaise bina tere na janu mai na jane tu

qalam ye likh to sakta hai mere dil ki kahani ko
ye dil kabse hua tera na janu mai na jane tu

ek din maut ani hai ke faani zindagani hai
phir khwaish kyou hai jeene ki na janu mai na jane tu

iqraar

har baat ke liye iqraar zaroori nahi hota
kuch baatein ankhau se aur kuch dil se bhi ki jaati hai

tum mere nahi ho

kaise karu shikwah
kaise karu shikayat
kaise jiwoo tum bin
kaise bitawoo e waqt
kaise tumhari yadau ko bhool jau
un beeti hui batau ko bhul jawoo
kaise roku mere jazbat ko
jo beh rahe hai aansuwo ke zariye
kaise samjhawoo is bechain dil ko
ke tum mere nahi ho
ek pal ke liye aakar jaane wale musafir
tum mere nahi ho

dil toda nahi karte


suhane sapne jagakar dil toda nahi karte
khwab kai sajakar neend toda nahi karte
aur is eid pe hum se dur raha nahi karte

eid ayi aur chali gayi

eid ayi aur chali gayi
khushiya ayi aur tehar gayi
gum sab dur chale gaye
khwab khushbu banke bikhar gaye
fasane ishq ke ban gaye
aur hum tere ho gaye
rahi ko manzil mil gayi
eid ayi aur chali gayi

dua karte hai

ishq mai hum jalte nahi
tadapte rehte hai

sirf aap se milne ki hasrat rakhte hai
sote jagte har ghadi aap ko sochte hai

khwahish lekar tumse milne ki
khuda ke samne jhukte hai

hamare rab se pucho
hum kitna yaad tumhe karte hai

har pal har waqt
tum se milne ki dua karte hai

tadpati ho

itna kyou mujh ko satati ho
dur kyou itna chali jati ho
kabhi hasti ho kabhi muskurati ho
janeman mujhe bada tadpati ho

live in the heart

sapnau me aur yadau me rehana nahi
dil me rehna zaroori hai
paas to aapke hazarau honge
ek hame hi sehni e duri hai

bhul nahi payenge


dost teri dosti ko hum bhul nahi payenge
jab tum pukaroge to daude chale ayenge
jab yaad teri ayegi phuut ke royenge
zaalim itni dur ja ke baithi ho hum bhi tumhe bhul jayenge
par phir bhi bhul nahi payenge.....bhul nahi payenge

maza nahi ata

tadap milne ki na ho
to dur rehne me maza nahi ata
lagane wala na ho marham
to chot khane me maza nahi ata

eid mubarak

sal me ek bar ati hai eid
khushiya hazar lati hai eid
momin ke liye tohfa hai eid
bachchau ke liye eidi hai eid
ramazan ki ibadat ka sila hai eid
allah ki ata aur inaam hai eid
har ek ko mubarak ho ye pyari si eid

mujhe yaad ati hai


mujhe yaad ati hai wo beeti hui yaade
mujhe yaad ate hai wo guzre hue lamhe
wo tumhara muskurana mujhe ched ke gungunana
hathau me hath leke hamara sath sath chalna
pehle lams ka ehsaas wo pehli mulaqat
sab kuch tha bahut khas bahut khas bahut khas
mujhe yaad hai wo waqt wo lamhe wo batein
jab tum ne jagaya tha ehsaas muhabbat ka
meri khamosh zindagi me maujau ki rawani tum
meri hontaou ki muskurahat dhadkan ki kahani tum
dil chiz kya hai janam e tum ne bataya hai
is dil ko dhadakna bhi tum ne hi sikhaya hai
mujhe yaad hai wo pal wo mehekta hua samaa
jab tum ne kiya tha mujh se iqraar muhabbat ka
meri teri muhabbat ka har pal suhana hai
mujhe teri agosh me har waqt bitana hai
mujhe tum se muhabbat hai sirf tum se muhabbat hai
tera dil tera jism teri jaan sab meri amanat hai

duri

janam hum me ye duri kyou hai
mere dil me itni khamoshi kyou hai
mere chehre pe udasi kyou hai
janam hum me ye duri kyou hai

on hearing the voice of beloved

agar mera dil bagh bagh hai
khushi se sarshar hai
to us me meri koi galti nahi
sab unki awaz ka kamal hai

tanha

zamee kiski nahi hoti
jaha kiska nahi hota
chahe tum dur ho mujh se
e dil tanha nahi hota

bin tere sajan


bin tere sajanmai eid manau kaise
bin tere sajan mai khud ko sajau kaise
yeh eid to hai khushiyo ka mosam
bin tere sajan mai khushi manau kaise
yeh dil to hai sirf tera deewana
bin tere sajanis dil ko samjhawoo kaise
kash e eid tumhare sang hoti
duniya ki har khushi mere sang hoti
mai sajti ,sanwarti, muskan bikherti
mai jhoomti nachti aur gungunati
mai eid manatimai eid manati
tere sang sajan mai khud ko sajati
tere sang sajan mai eid manati

achanak ek baat yaad agai

achanak ek baat yaad agai
tumhare saath bitai hui ek raat yaad agai
kash zindagi ki har raat wo raat ho
aur zindagi ka har pal tumhare saath ho
khushiyo ka ho hamare ghar pe basera
aur angan hamara khuda ki rehmat se sarshar ho

bujha hua hai chiragh kyu

bujha hua hai chiragh kyou
be sukoon hu , sukoon de
mera jism wa ja meri aabroo
mera tan badan teri justujoo
kuch keh bhi de jise sun ke mai
yu khil uthu go gulab ho

khoye hue rehte hai doobe hue rehte hai

beetein hue lamhau ki yadau ke dareechau me
teri ulfat bhari batau ke tasauur me
hum khoye hue rehte hai doobe hue rehte hai
un chandni ratau me un madhbhari batau me
mehtab ki raanai phoolau ki si narmai
sab teri qurbat ke us lams me chai hai
doobu to doobi rahu ubhru to ubhar awoo
aisi teri chahat ki gehrai hai

pehli mulaqat


chandni ratau se baat hui thi

tujh se jab pehli mulaqat hui thi

mere haath ko jab tum ne badh kar tham liya

meri zindagi me khushiyo ki barsat hui thi

dil me utar jaate ho

chupke se aakar is dil me utar jaate ho
sansau me meri khushbu ban ke bikhar jaate ho
kuch yu chala hai tere ishq ka jadu
sote jagte tum hi tum nazar ate ho

dilchaspi nahi

dil nikal kar mai ne hatheli pe rakh diya
tum ne thukra diya kehkar ..
ke mujhe is me dilchaspi nahi...

Thursday, May 22, 2008

tu jan bhi hai araman bhi hai






tu jan bhi hai arman bhi hai
mere dil me macha tufan bhi hai
tu labau ki madhdham si hasi
aur eid ka chand bhi hai
sajan tu mera balam tu mera
dhadkan me basi awaz teri
bechain ye dil yadau ki kadi
ankhau me basi tasweer teri
khwabau me khayalau me hai
hathau ki lakeerau me hai
mere as pas mere charau aur
teri hi mehek teri hi hasi

muskura ke seh lete hai hum har ek zakham

muskura ke seh lete hai hum har ek zakham
nam jab tumhara is zakhm se juda ho
labau pe saj jati hai madhdham si muskurahat
zikr jab tumhara mere saamne hua ho

meri jheel si ankhau ko nam kar diya


teri sadagi pe hum mar mite the ek din

teri dillagi ne diwana kar diya

tujh sa na koi dekha na dekhenge hum

teri ek nazar ne behal kardiya

kuch qurbatau ne bandhe ulfat ke ye dhage

kuch teri muskurahat ne dilchuraliya

ab teri.. is duri ne ae sanam...........

meri jheel si ankhau ko nam kar diya

For a friend



this poem of mine is specially dedicated for my friend nazneen



tum dost meri ho nat khat si
kuch ziddi ho kuch pagal si
dil ke kone me rehti ho
sab se achchi dost meri ho
tum se "hi" kehelwana hai bahut asan
"eco notebook" ya "french fries" se ho jaye ga kam
batau me tum mahir ho par lagti abhi ho bachchi
"business" me tum mahir ho "accounts" me thodi kachchi
waise tum ho badi simple with a sweet little dimple
lekin jab baat ajaye sports ya annual day ki
sab ajata hai chehre par powder, lali, kajal
"rani" ki tum fan ho par ho nahi kuch kam
uncle "shahrukh" ko chodo look for someone young