----------welcome----------

welcome to "Life is a gift".
This blog is all about romantic poems,drawings , henna designs..
keep visiting.. there is more to come soon

ishqia

Saturday, July 5, 2008

sharam ayi


sharam ayi hume is shiddat se
ke hum nazre jhuka baithe
jab wo hame dekhne ke khatir
hamara chilman utha baithe

jhuki nazre larazte lab
dhadakta dil aur muhabbat
wo hum ko dekhkar haiii..
apna dil ghuma baithe

hasee sathi suhani sham
aur dilau me muhabbat
hum ek dusre se kar
wadaa-e-wafa baithe

bhul apni sharam-o-haya
hum qareeb aa baithe
us hasee raat ko hum
yaadgaar bana baithe

Thursday, July 3, 2008

MUJHE CHAHA HAI TU NE


mujhe chaha hai tune is shiddat se
meri har khwaish ka khayal rakha
mujhe sar ankhau pe bitha kar
meri har khushiyau ko sambhal rakha
mere dil ko apne dil se jod kar
mujhe apne dil ke qareeb rakha
mujhe apni agosh me chupa kar
mujhe khud se zyada azeez rakha
teri is wafa ka shukriya
teri har chah ka shukriya
tere pyar ke is ehsaas ka
aur is khubsurat saath ka shukriya

Tuesday, July 1, 2008

MEMORIES

Sometimes certain things become a part of our memories , precious memories.. and we preserve them for life time. This rose was sent to me many many years back by a sweet sweet cousin. i had hanged in on my bedroom wall. over the years the color has become dull. so i thought i will stick it now on my blog wall. Thanks to my cousin for that beautiful rose.

Saturday, June 28, 2008

mere armaa.........


hum armanau ki duniya me rehte hai
roz naye armaa sajate hai
ek armaa jab pura ho
do naye armaa ajate hai

zindagi khatam ho jayegi
par arma khatam na honge
har subha ek naya armaa jagega
har sham ek naya khwab sajega

mere armaa bhi hazarau hai
meri chahate bhi hai kai
mere khwabau ki to intiha nahi
par zindagi meri hai choti si

Wednesday, June 25, 2008

my designs

I dont usually draw indian designs,but made a vague attempt this time.


Sunday, June 22, 2008

DOHA - ON A WINDY DAY









I clicked them all including the header pic.

Saturday, June 21, 2008

ji chahta hai


tumhari bahau me sar chupane ko ji chahta hai
tere paas ane ko ji chahta hai
labau pe tabassum nigahau me chahat
teri surat ko dil me basane ko ji chahta hai
duri sitam hai aur tu hai sitamgar
ye duri mitane ko ji chahta hai
muhabbat me tere ajab meri halat
ke aansu bahane ko ji chahta hai

Thursday, June 19, 2008

beautiful!!!

source: henna page ," how to" patterns

Monday, June 16, 2008

tum bin hu mai adhuri


tumhe kaise batawu
is dil ka hal sajna

tum bin bitawu kaise
ye maah saal sajna

teri yaad ho rahi hai dhundli
in faslau ke aage

kahi kamzor na hojaye
hamari chahatau ke dhage

din raat mujh ko meri
chedti hai sakhya

puchti hai mujhko
kab aarahe hai sajna

muntazar hai teri
muddat se meri banhe

hai dar pe bhatakti
har pal meri nigahe

ab aabhi jawo sajna
bas ho gayi hai duri

sang raho tum mere
ke tum bin hu mai adhuri

Saturday, June 14, 2008

teri khwahish


samaat me meri gunje
teri awaz meethi si

nigahau me meri ghoome
teri surat pyari si

madhosh karti hai
mujhe teri khushbu

chala gayi hai mujh pe
teri chahat koi jadu

ude jab jab teri zulfe
hawa madmast chalti hai

hate jab bhi tera chilman
ghata zor barasti hai

sarapa man lo
hai ek sarap tera

teri muskan jo dekh le
wo ashik ban jaye tera

husn tera hai hurau ka
panah teri hai jannat me

yaqeen man lo janam
teri khwahish mere dil me
usi pal se hai
jis pal me meri taqleeq hui thi

Friday, June 13, 2008

Thursday, June 12, 2008

simple henna design


source: the henna page "how to" patterns

tum mere qareeb nahi


hum ne socha tha

ke tum ko nigahau me bithayenge

apne sine me chupakar

khub chahenge

tum ko itna chahenge

ke har intiha par kardenge

par tumhari qurbat mere naseeb nahi

chahu tumhe kaise

ke tum mere qareeb nahi

Tuesday, June 10, 2008

mulaqat hui thi


us raat mai khush thi

kyu ke tu mere paas tha

labau par muskurahat thi

dil me khushi ka esaas tha

mai teri agosh me pinha thi kuch is tarah

tu meri agosh me madhosh tha jis tarah

nigahou ki nigahau se baat ho rahi thi

hontau ki hontau se mulaqat ho rahi thi

kya kahu us raat ke baare me

jab shama aur parwane ki mulaqat hui thi

Sunday, June 8, 2008

lost in his charms


i opened my eyes one day
to find myself in his arms
he was so close to me
i was lost in his charms
he held me close to himself
and said i love you dear
it surely wasnt a dream
for he was hard and clear
the warmth of his love
made happiness run through my veins
he surely was the one
for whom i was made

Saturday, June 7, 2008

adna sa insaan hu

khush hote hue bhi nakhush hu
mukammil hote hue bhi na mukammil
sab kuch jante hue bhi anjaan hu
is ghar ka fard hote hue bhi mehmaan hu
mashhoor hote hue bhi gumnaam hu
sab chalaki sikh kar bhi nadan hu
allah ka karm hai ke musalman hu
logou mai ek adna sa insaan hu

Friday, June 6, 2008

SCARRY!!!!!

how do you find skeletons?
scary or funny!

ek suni gali
kutta bhonk raha hai
ullu cheekh raha hai
ladki akeli
samne se araha kaun..
bhoooooooooooooooth..

kabhi na mitne wali siyahi


likh diya hai kabhi na mitne wali siyahi se
mere dil pe tera naam
aur tere naam pe likh di hai
meri zindagi ki har ek sham
juda na ho hum umr bhar
kuch aisa hojaye intizam
khuda kare jald mulaqat ho
kuch aisa ho jaye nizam

Thursday, June 5, 2008

my brother's jokes


how does a lip look with lipstick?
like a marinated chicken piece..
hahahaha..
whats ur idea?

simple indian design


source: the henna page "how to" patterns

Tuesday, June 3, 2008

sapnau me hi sahi tu mere paas hai


door rehkar bhi qareeb hum hai
sapnau me har roz hamara sangam hai
roz tumhare sang waqt bitati hu
sapnau me hi sahi tum ko chu jati hu
kabhi tumhare balau me ungliya piroti hu
kabhi tumhare hontau ko muhabbat se chuti hu
dur rehkar bhi tumhari qurbat ka ehsaas hai
sapnau me hi sahi tu mere paas hai

teri mohabbat me


ankhau me aansu hai

dil me ghum hai

teri muhabbat me

hum humdam hai

subha sham raat bhar

tum ko sochte hai

duawo me bhi sanam

tum ko mangte hai

har har aazu mera

tadap raha hai tere liye

mai kaise apne jazbat ko

likhdu chand lafzau me

Sunday, June 1, 2008

indian design

hey friends! check out this beautiful indian design.
source: the henna page "how to"
patterns


Saturday, May 31, 2008

dil me jaga dijiye ga


sanam mere humdam wafa kijiyega
muhabbat hum se sada kijiyega
guzarish tum se hai bas itnisi
sada ke liye dil me jaga dijiyega

kabhi meri ulfat ke jalwe to dekho
sharam se lipte hue is putle ko dekho
muhabbat bhari ek nazar se to dekho
ek bar hi sahi dil me apne bitha ke to dekho

wada hai mera tumhe khush rakhungi
dil-o-jan sab kuch nisar kar dungi
shab me tumhe ulfat ke jam dungi
din bhar tumhari khidmat karungi

ek bar hame azma ke to dekho
hamari qurbat ke nashe me chur ho ke to dekho
sang muhabbat ke rahat milegi
mere sang khushiyo ki lazzat milegi

nasha hi nasha hai


charau taraf nasha hi nasha hai

lagta hai har taraf tu hi tu khada hai

muhabbat me teri hum khogaye hai

dur najane tum se hum kyu ho gaye hai

Thursday, May 29, 2008

ek zalim zamana


ek zalim zamana hai
duji teri aadaye hai
aur hum zulm ke mare
kuch to zamane ne ruswa kiya
kuch teri adawo ne

ek ansoo tadap kar jo
rukhsar ko chu nikla
ai harjayi tu sun le
us ashk ki qeemat bhi
tumko hi chukani hai

ek lamha ban gaya hai
wo arsa jo bitaya tha
tumhare sang muhabbat me
us lamhe ka ehsas
mujhe raat bhar jagata hai

ek jeewan hai mere pas
par tumhare pyar ki aas
banagayi hai mujhe udas
mushkil hogaya hai jeena
kya pata kab ruk jaye meri sans

kash zindagi me udasi na hoti


kash zindagi me udaasi na hoti

ansoo na hote aur gham na hota

koi bhi khwahish adhoori na hoti

umeede hamari sab puri hoti

na tutte dil kanch ki tarah

na doobti khwahishe aftab ki tarah

par har din ke liye raat hoti hai

har ansoo ke liye muskurahat hoti hai

har dulhan ke liye baaraat hoti hai

ek din puri zaroor saughat hoti hai

to dostou e baat yaad rakhna

umeed ko apni sadha baandh rakhna

Wednesday, May 28, 2008

check these out

here are another set of cute mehndi designs which i recieved in mail ..
have fun!!!











very very beautiful

hey friends!

here are some very beautiful henna designs which i recieved in mail.
hope u like them!!








yaad rakna


zindagi ki is choti si mulaqat ko yaad rakhna
bhul jana hame phir bhi yaad rakhna

sang saathi yaari na sahi
ek ajnabee ki tarah yaad rakhna

haqeeqat na sahi
sapnau ki tarah yaad rakhna

kabhi zindagi ki bhid me
bhul kar bhi hame yaad rakhna

padhaii, tum aur durii


jab se tum aaye ho zindagi me
mushkil mujhe hoti hai padhaii me
har panne par tum nazar aate ho
aur mujhe sapnau ki duniya me le jate ho

jab teacher aapna lecture sunati hai
mujhe lagta hai lori ga ke sulati hai
mere liye muhabbat ke geet gaati hai
hosh aata hai jab wo class se jaati hai

har din ek naya azm leti hu
aur padhai ka pakka irada karti hu
lekin jab kitab kholti hu
phir se tum me kho jaati hu

ab tum hi batawo ke kya kiya jaye
dur rehkar tumse padhai ka hashr kiya jaye
pass hone ke bajaye hum kahi fail na ho jaye
ya phir yuhi duri ka gham piya jaye

behtar hai hum paas rehkar pass ho jaye
kash ke yaarab ye mumkin ho jaye
ye duri mitjaye paas hum aajaye
is andheri raat ke baad jald sawera hojaye